Wednesday 19 March 2014

Filled Under:

Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Howa

Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Howa
Ab Kyaa Kahen Ye Qissa Purana Bohat Hua

Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-e-firaq
Ai Marg-e-na-gahan Tera Aana Bohat Howa

Ham Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda
Itne Se Vaqiye Ka Fasana Bohat Hua

Ab Ham Hain Aur Sare Zamane Ki Dushmani
Us Se Zara Sa Rabt Barhana Bohat Howa

Ab Kyun Na Zindagi Pe Mohabat Ko Vaar Dain
Is Ashiqi Mein Jaan Se Jana Bohat Hua

Ab Tak To Dil Ka Dil Se Ta’aaruf Na Ho Saka
Mana Ki Us Se Milna Milana Bohat Howa

Kya Kya Na Ham Kharaab Hoye Hain Magar Ye Dil
Ai Yaad-e-yaar Teraa Thikaana Bohat Hua

Kahta Tha Naasehon Se Mere Munh Na Aaiyo
Phir Kyaa Thaa Ek Huu Kaa Bahaana Bahut Howa

Lo Phir Tire Labon Pe Usii Bewafa Ka Zikr
Ahmad ‘faraz’ Tujh Se Kahaa Na Bohat Howa

Written by

We are Creative Blogger Theme Wavers which provides user friendly, effective and easy to use themes. Each support has free and providing HD support screen casting.

0 comments:

Post a Comment

© 2013 iPRESS. All rights resevered. Designed by Templateism