Showing posts with label Ahmad Faraz Shayari. Show all posts
Showing posts with label Ahmad Faraz Shayari. Show all posts

Wednesday 19 March 2014

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain

0
Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,

Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,

Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,

Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,

Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,

Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,

Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,

Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,

Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,

Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabat Nahi Mli

0
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabat Nahi Mli
Tumhain Chahte Thay Par Teri Ulfat Nahi Mili

Milne Ko Tu Zindagi Mai Kai Hamsafar Mile
Par Un Ki Tabiat Se Tabiat Nahi Mli

Chehron Mai Dosron K Tuje Dhondte Rehe
Sorat Nahi Mli Khain Serat Nahi Mli

Bahot Der Se Aya Tu Mere Pas
Alfaz Dhondne Ki Bi Muhlat Nahi Mli

Tuj K Gila Hai K Twaja Na Di Tuje
Lekin Ham Ko Tu Khud Apni Mohabat Nahi Mli

Ham Ko Tu Teri Har Aadat Achi Lgi Faraz
Afsos K Tuj Se Meri Aadat Nahi Mli

Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Howa

0
Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Howa
Ab Kyaa Kahen Ye Qissa Purana Bohat Hua

Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-e-firaq
Ai Marg-e-na-gahan Tera Aana Bohat Howa

Ham Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda
Itne Se Vaqiye Ka Fasana Bohat Hua

Ab Ham Hain Aur Sare Zamane Ki Dushmani
Us Se Zara Sa Rabt Barhana Bohat Howa

Ab Kyun Na Zindagi Pe Mohabat Ko Vaar Dain
Is Ashiqi Mein Jaan Se Jana Bohat Hua

Ab Tak To Dil Ka Dil Se Ta’aaruf Na Ho Saka
Mana Ki Us Se Milna Milana Bohat Howa

Kya Kya Na Ham Kharaab Hoye Hain Magar Ye Dil
Ai Yaad-e-yaar Teraa Thikaana Bohat Hua

Kahta Tha Naasehon Se Mere Munh Na Aaiyo
Phir Kyaa Thaa Ek Huu Kaa Bahaana Bahut Howa

Lo Phir Tire Labon Pe Usii Bewafa Ka Zikr
Ahmad ‘faraz’ Tujh Se Kahaa Na Bohat Howa

© 2013 iPRESS. All rights resevered. Designed by Templateism