Tuesday 18 March 2014

Haan yeah such hai ke mujhe tum se mohabbat hai

0
 Haan  yeah such hai ke mujhe tum se mohabbat hai
Yeah bhi such hai ke main tmhari chahat hoon
Per meri zindagi mein chahtoon ki kami to nahi
Rishte aur bhi hain sirf tum hi nahi
Apni zaat ke is pehloo se aaj milwaoon tumhien
Mein kia hoon, Kaisi hoon, Zara batlaoon tumhien
Mein apni maa'n ke tarbiyat mein dhala sancha hoon
Apne BABA ki umeedoon se pur ik khaka hoon
Apne bhai ki ghairat hoon janti hoon mein
Mujh se hi hai ghar ki izzat manti hoon mein
To behak jaoon mein yeah kabhi mumkin hi nahi!
Ke dil wo bhi rakhte hain
Sirf HUM TUM hi nahin!

Kabhi Jo Chair Gaye Yaad-e-Raftgaa'n

0
 Kabhi jo chair gaye yaad-e-raftgaa'n Mohsin
Bikher gaye hain nighahien kahan kahan Mohsin

Hawa ne raakh urdaye to dil ko yaad aya
Ke jal bhujien mere khawab ki bastiyan Mohsin

Kuch aisay ghar bhi mile jin mein ghongtoon ke aewaz
Hoi hain dafn dupatoon mein larkiyan Mohsin

Khandar hai ahd-e-ghasta, na cho na chair ise
Khulien to band na hoon iski khirkiyan Mohsin

Bhujha hai kon sitara ke apni ankh ke sath
Hoye hain saray manzir dhuwan dhuwan Mohsin

Nahi ke us ne ghanwaye hain maah-o-saal apne
Tamam umer katti yoon bhi raigaa'n Mohsin

Mila to aur bhi taqseem ker gaya mujh ko
Smaitna thien jise meri kirchiyan Mohsin

Kahien se us ne bhi torda hai, khud se rabt-e-wafa
Kahien se bhool gaya mein dastaa'n Mohsin

Kabhi Khamosh Betho Ge

0

Kabhi Khamosh Betho Ge, Kabhi Kuch Gungonao Ge.
Main Utna Yaad Aaon Ga Mujhe Jitna Bholayao Ge.

Koi Jab Poch Bethe Ga Khamoshi Ka Sabab Tum Se
Buhat Samjhna Chaho Ge Mgr Samjh Na Pao Ge.

Kabhi Duniya Mukalmal Ban Ke Aaye Gi Nighahon Se
Kabhi Meri Kami Duniya Ke Har Sha Main Pao Ge.

Kahin Par Rahen Hum Aur Tum Muhabbat Phir Muhabbat hai
Tumhein Hum Yaad AAyein Ge Humain Tum Yaad Aao Ge.

Apne Ehsaas se chukar mujhe Sandal kardo,

0
Apne Ehsaas se chukar mujhe Sandal kardo,
mai ke hun sadyyon se adhura mukammal kardo,

Na tumhe Hosh rahe na mujhe Hosh rahe,
is Qadar toot ke chaho mujhe Paagal kardo,

tum Hatheli ko apni mere pyar ki Mehndi ye rango,
apni Ankhonn mai mere pyar ka Kajol kardo,

Dhoop hi Dhoop hun mai toot ke barso mujh par,
mai to Sehry hun mujhe Pyar ka Baadal kardo,

iske Sayye se mere Khaywaab Mehak uthenge,
mere Chehre pe Umeed Bhara anchal kardo,

apne hontoon ki koi Mohar lagao mujh par,
ik Nazar pyar se dekho mujhe Ghayal kardo.

Dayar-E-Ghair Mein Kaise Tujhe Sada Dete

0
Dayar-E-Ghair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete

Tumhin Ne Ham Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Karte K Ham Asman Hila Dete

Hamein Ye Zom Raha Ab K Woh Pukarenge
Unhen Ye Zid Thi K Har Bar Ham Sada Dete.

Wo Tera Gham Tha K Tasir Mere Lahje Ki
K Jis Ko Hal Sunate Use Rula Dete.

Tumhen Bhulna Hi Awwal To Dastaras Mein Nahin
Jo Ikhtiyar Bhi Hota To Kya Bhula Dete.

Tumhari Yad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Ansu Rahe Sada Dete.

Samton Ko Main Ta-Umar Kosta Syed
Wo Kuch Na Kahte Magar Honth To Hila Dete.

Hijar ka tara doob raha hai, dhalne lagi hai raat WASI

0
Hijar ka tara doob raha hai, dhalne lagi hai raat WASI.
katra katra baras rahi hai ashkon ki barsaat WASI.

tere baad ye duniya wale mujhko pagal kar dein ge
khushbu k dais mein le chal mujhko saath WASI

yun hi chup ki muhar laga kar kab tak gumsum baitho ge ?
kkhamoshi se dam ghut-ta hai, chero koi baat Wasi.

aaj to usska chehra b kuch badla badla lagta hai
mausam badla duniya badli badal gaye halaat WASI.

mere ghar khushboo ka ye raqs ussi k dam se hai
uss k saath chali jaye gi phoolon ki barsaat WASI.

chor WASI ab usski yaadien tujhko pagal kar dein gi
tu qatra hai wo darya hai dekh apni aukaat WASI.

Ab to mumkin hi nahin un se mulaqat Wasi

0
Ab to mumkin hi nahin un se mulaqat Wasi
Ab to mumkin hi nahin un se mulaqat Wasi.

Ab to urooj pe pohunchi hai us ki zaat Wasi.


wohi waady hain aur rasmon ki zanjeerein baqi

Kab badalti hain zamaney ki riwayaat Wasi.




Ek wo din thy ke ek doosrey ko sochtey thy hum
Ab miltey nahin dono ke khayalaat Wasi.

© 2013 iPRESS. All rights resevered. Designed by Templateism